Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*shery {khamosh}*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*shery {khamosh}*~

    Originally posted by shehereyar_khan View Post
    SALLAM!

    DEAR BROTHERS AND SISTERS YAHAN MAIN APNI PASAND KI SHAIRI POST KARUNGA.
    HO SAKTA HAI K YAHAN MAIN AISI POST B KARUN JO AAP KI NAZRON SE GUZAR CHUKI HO YA KISI AOR THREAT MAIN POST HO CHUKI HO JIS K LIYE ADVANCE MAIN SORRYYYYYY.........:welcome::welcome::welcome:

    SHERY {KHAMOSH}
    Walaikum Salaaam :rose

    Aap ki poetry ka intikhaaab buhat umda hai :)

    Please keep posting ur fav one :thmbup:

    Comment


    • ~*shery {khamosh}*~

      Originally posted by Mr.Khan View Post
      Walaikum Salaaam :rose

      Aap ki poetry ka intikhaaab buhat umda hai :)

      Please keep posting ur fav one :thmbup:

      THANKX "MR.KHAN" BROTHER K AAP NE MERI SELECTION KO PASAND KIYA.
      :thankyou: :thankyou: :thankyou:
      AOR UMEED KARTA HUN K AAYENDA B AAP KO PASAND AYEGI.
      :welcome: :welcome: :welcome:


      SHERY {KHAMOSH}
      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

      Comment


      • Re: ~*shery {khamosh}*~



        *~SHERY~*~KHAMOSH~*
        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

        Comment


        • Re: ~*shery {khamosh}*~

          M0habbat Phir M0habbat Hay.!
          Kabhi Dil Se Nahi Jati,

          Laakhon Rang Hain Is K,

          Ajab Hi Dhang Hain Is k,

          Kabhi Sehra, Kabhi Dariya,
          Kabhi Jugnu,
          Kabhi Aansu,

          Hazaron Roop Rakhti Hay,

          Badan Jhulsa K Jo Rakh De
          Kabhi Wo Dhoop Rakhti Hay,

          Kabi Ban Kr Ye Ek Jugnu,

          Shab-E-Gham K Andheron May,
          Dilon ko Aas Deti Hay,

          Kabi Manzil Kinare Per Sadyon eK Musafir Ko
          Faqat 1 Piyas Deti Hay,

          Aziyat Hi Aziyat Hay,

          Mohabbat Pir Mohabbat Hay
          Kabi Dil Se Nahi Jati.


          *~SHERY~*~KHAMOSH~*
          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

          Comment


          • Re: ~*shery {khamosh}*~

            >Aakhir ek din shad karogay**
            >Mera ghar aabaad karogay**

            >Pyar ki baaten' Visal ki raaten**
            >Yaad karogay yad karogay**

            >Kis dil se aabaad kiya tha**
            >Kis dil ko bardaab karogay**

            >Mein ne apni qimat keh di**
            >Tum B kuch irshad karogay**

            >Jab Mujhko chup lag jaye gi**
            >Phir tum B fariyad karogay**

            >Or tumhain aata hi kya hai**
            >Koi sitam ijaad karogay**

            >Mere dil may basne walo**
            >Tum Mujhko barbaad karogay**

            >Husn ko ruswa kar k marunga**
            >Aakhir tum kya yaad karogay**


            *~SHERY~*~KHAMOSH~*
            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

            Comment


            • Re: ~*shery {khamosh}*~

              >Dil ko virana kaho gay, Mujhe malum na tha,,,
              >Phir B dil hi may raho gay, Mujhe malum na tha,,,

              >Sath duniya ka Mein chorhdon ga tumhari khaatir,,,
              >Or tum sath na ho gay, Mujhe malum na tha,,,

              >Chup jo hoon, Koi buri baat hai Mere dil may,,,
              >Tum B ye baat kaho gay, Mujhe malum na tha,,,

              >Log rote hain Meri bad-nazri ka rona,,,
              >Tum B is ro may baho gay, Mujhe malum na tha,,,

              >Tum to be sabar thay aagaaz-e-mohabbat may "SHERY",,,
              >Is qadar jabar saho gay, Mujhe malum na tha...


              *~SHERY~*~KHAMOSH~*
              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

              Comment


              • Re: ~*shery {khamosh}*~

                >Zinda khawabon ko B aankhon may sula rakha hai,,,,
                >Yaad karna hai jise usko bhula rakha hai,,,,

                >Apne dil ki kahen kis se k ye diwana hai,,,,
                >Khud to hansta hai magar Hum ko rula rakha hai,,,,

                >Yaad uski B hawa hi se bandhi hai shayed,,,,
                >Aik jhoola sa Hamein jis ne jhula rakha hai,,,,

                >Kya karen Hum ko to takhliq se fursat hi nahi,,,,
                >Apni majburi k dushman ko khula rakha hai,,,,

                >"SHERY" Kuch B to nahi apni haqiqat lekin,,,,
                >Ek ghubaare ki tarah dil ko phula rakha hai....


                *~SHERY~*~KHAMOSH~*
                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                Comment


                • Re: ~*shery {khamosh}*~

                  >Meray dil me uski muhabbat buhat thi,,
                  >Magar phir bhi us ko shikayat buhat thi,,

                  >Mera dard khulta b kiun kar kisi par,,
                  >Mujhe muskurane ki aadat buhat thi,,

                  >Meri zindagi me wo lamhay b aaye,,
                  >Teri har qadam par zarurat buhat thi,,

                  >Mananay ka mujh me hunar hi nahi tha,,
                  >Par usay rooth jaanay ki aadat buhat thi,,


                  *~SHERY~*~KHAMOSH~*
                  ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                  Comment


                  • Re: ~*shery {khamosh}*~

                    =>Aisi lagi udaas sar-E-shaam zindagi,
                    =>Jaisay kisi ki aankh ka ilzam zindagi,

                    =>Apne jahan main daikha tere baad kuch nehi,
                    =>Hum ne laga di aaj tere naam zindagi,

                    =>Jis k bina ye saans mujhay doobti lagi,
                    =>Ja k usay bhi dhoond kisi shaam zindagi,

                    =>Ye pyar dard na ban sakay jis k nashay main,
                    =>Mujh ko pila de aaj wohi jaam zindagi,

                    =>Ab doston k haath mere haath main nahi,
                    =>Girnay laga hoon aaj mujhay thaam ZINDAGI. . . .!!!


                    *~SHERY~*~KHAMOSH~*
                    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                    Comment


                    • Re: ~*shery {khamosh}*~

                      ~*~Tere naam ki thi jo roshni~*~

                      ~*~Usay khud hi tu ne bujha diya~*~

                      ~*~Na jala saki jise dhoop b~*~

                      ~*~Usay chandni ne jala diya~*~

                      ~*~Main hoon grdishon mein ghira howa~*~

                      ~*~Muje ab apni khabar nahi~*~

                      ~*~Wo jo shakhs tha mera rahnuma~*~

                      ~*~Usay raaston me ganwa diya~*~

                      ~*~Jo teri nazar me ajeeb tha~*~

                      ~*~Wohi shakhs tera habib tha~*~

                      ~*~Tere hath ki wo lakeer tha~*~

                      ~*~Usy hath se hi mita diya~*~

                      ~*~Mujhe ishq hai k janun hai~*~

                      ~*~Abi fesla nahi hosaka~*~

                      ~*~Mera naam zenat-e-dasht tha~*~

                      ~*~Mujhe aandhiyon ne mita diya..~*~


                      *~SHERY~*~KHAMOSH~*
                      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                      Comment


                      • Re: ~*shery {khamosh}*~

                        *Yun sitamgar nahi hote jana.
                        *Phool,Pathar nahi hote jana.

                        *Q Mere dil se kahen jate ho.
                        *Ghar se be ghar nahi hote jana.

                        *Visal ki shab jo karam tumne kiye.
                        *Q mukarar nahi hote jana.

                        *Hum tumhen Bot ki tarah poojte hain!
                        *Phir B kafir nahi hote jana.

                        *Gham k deepak nahi jalte jab tak.
                        *Dil munawar nahi hote jana.

                        *Aik jese hain khushi k lamhe.
                        *Dukh bara bar nahi hote jana.

                        *Is qadar khoon na bahana dil ka.
                        *Dil samandar nahi hote jana.


                        *~SHERY~*~KHAMOSH~*
                        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                        Comment


                        • Re: ~*shery {khamosh}*~

                          ~*~Haqiqat ashna mere~*~
                          ~*~Tujhe shayad khabar ho gi~*~
                          ~*~Mujhe teri mohabbt ne~*~
                          ~*~Bohot buzdil bna dala~*~
                          ~*~Main hr us shay se darte hoon~*~
                          ~*~Tujhe jo cheen sakti hay~*~
                          ~*~Main un lamhon se darte hoon~*~
                          ~*~Judaie jin may rehti hay~*~
                          ~*~Main un ashkon se darta hoon~*~
                          ~*~Jo ban kr yad behte hen~*~
                          ~*~Main un lafzon se darta hoon~*~
                          ~*~Jo khamoshi me rhte hen~*~
                          ~*~Bicharne ki mere ham-dam~*~
                          ~*~May hr surat se darta hoon~*~
                          ~*~Tujhe shayad khabar ho gi~*~
                          ~*~Mujhe teri mohabbat ne~*~
                          ~*~Bohot Buzdil Bana Dala~*~


                          SHERY {KHAMOSH}
                          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                          Comment


                          • Re: ~*shery {khamosh}*~

                            *~*KABHI YAD AO TO IS TARHA,,~*~
                            *~*KABHI GUNGUNAO TO IS TARHA,,~*~

                            *~*Mera dard phir se ghazal banay,,~*~
                            *~*KABHI DIL DUKHAO TO IS TARHA,,~*~

                            *~*Meri dharkanain b laraz uthain,,~*~
                            *~*KABHI BHOOL JAO TO IS TARHA,,~*~

                            *~*Na sisak sakain na bilak sakain,,~*~
                            *~*KABHI CHOR JAO TO IS TARHA,,~*~

                            *~*Na ujarr sakain, Na sanwer sakain,,~*~
                            *~*KABHI YAAD AO TO IS TARHA..~*~


                            *~SHERY~*KHAMOSH~*
                            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                            Comment


                            • Re: ~*shery {khamosh}*~

                              *~*Meri Zindagi Ki Kitaab Wo,,*~*
                              *~*Mere Har Sawal Ka Jawab Wo,,*~*

                              *~*Mein Usay Parhonga Tamaam Umar,,*~*
                              *~*Meri Hayat Ka Nisaab Wo,,*~*

                              *~*Meri Har Dua Uss Ke Liye,,*~*
                              *~*Meri Ebadaton Ka Sawaab Wo,,*~*

                              *~*Mein Saara Din Usi Mein Magan,,*~*
                              *~*Meri Har Raat Ka Khwab Wo,,*~*

                              *~*Likhon Aur Kya Mein Uss Ki Zaat Par,,*~*
                              *~*Meri Zindagi Ka unwaan Wo...!!!


                              *~SHERY~*KHAMOSH~*
                              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                              Comment


                              • Re: ~*shery {khamosh}*~

                                Hamari anaa ko gawara he na tha k Mohabbat maang kar leytay,
                                Aur Un may itna zarf na tha k bin mangay luta deytay,

                                Aik mudat tak iss dil ki beqarariyan na gayein,
                                Her roz Osay khat likhtay,her roz jala deytay,

                                Khud ko Os ki Mohabbat k qabil he na samjha warna,
                                Toot k Osay aisa chahtay k khud ko bhula deytay,

                                Kabhi aazma k dekhtay Os ki khawahishon ki khatir,
                                Os k qadmon may bikhr jatay,Os ki rahon ko saja deytay...!!


                                *~SHERY~*KHAMOSH~*
                                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                                Comment

                                Working...
                                X